November 17, 2007

HaAr GaYa

few lines ...by worst devil

Aaaj khud se ladte ladte haar gaya hu
Phir ek baar to apne aap se jitna chahta hu

Dusro ko hasate hasate thak gaya hu
Aaj khud bhi dil kholke hasna chahta hu

Bahot kuch dur chala gaya hai is duniya mein
Unsabko wapas apne paas bulana chahta hu

Is duniya mein kahi kho gaya hu
Wapas apni manzil ki bas ek jhalak pana chahta hu

Bhavanao ko dabate dabate thak gaya hu
Aaj phir ek baar rona chahta hu

bahot se sunhere pal hai yaadon mein
Un sabko ek baar phir jeena chahta hu

Nakamyabi ki gehrion mein kahi gir raha hu
wapas kamyabai ki uchaiyon pe pahuchna chahta hu

kuch apno ka saath chut gaya hai
wapas apne sar pe kisi ka haath chahta hu

sab kuch nahi beekar duniya mein
apne aap ko ye wapas jatana chahta hu

No comments: